Lockdown kam hote hi anadhikrut firivalon ne raston par apni jagah banane ki shuruvat ki hai. Pratibandh kshetra me bhi unka badi sankhya me aana jana ho raha hai. Ferivalon ke karan niyamon ka palan na hone ki vajah se, corona infection aur jyada badhne ki sambhavna hai. Lockdown ke samay jeevan avashyak seva ka bhag samjhte hue sabji bikri valo ko chhut di gayi, lekin usi seva ka faida uthate hue har kshetra me ferivalo ki sankhya badh gayi. Unke karan jagah jagahon par bhid jama hone lagi. Isliye palika ki or se khule maidan me unko sabji bechne ko kaha gaya, par unlock ke chauthe padav me mile hue mauke ka galat faida in ferivalon ki or se liya ja raha hai.
Behat bar palika aur police pathak karvayi ke liye aane ki jankari pehle hi in ferivalon ko mil jati hai. Jiske karan prashasan gambhirta se na liye jane ki shikayat yahan ke nagarikon ki or se hui hai.