118 saal ke parampara par laga break

vitthal

Corona ke karan shadi, tyohar, utsav manane par pabandi dali hai. Ghansolike 118 saalon ki parampara ke akhand harinam saptah ko bhi is saal corona ke karan rok lagadi gayi hai. Shrikrishna janmasthami ke avsar par ghansoli gaon me 118 saal se hanuman saptah ka aayojan kiya jata hai. Lagatar 8 din tak 24 ghante akhandit tarahse yah Hanuman saptah chalu rahta hai, lekin is saal corona ke karan yah parampara khandit ho gayi hai. Sarkar dwara diye gaye niyomon ka palan karna anivarya hai. Us vajah se ab sirf 2 ghante harinam saptah keval panch se aath logon ke upasthiti me hoga.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks