Insaan ke mrityu ke baad behte samundar me asthiyon ka visarjan karne ki parampara hai. Alibag taluka ke kihim yaha ke pawar parivar ne apne pita ke maut ke baad unke asthiyon ka visarjan karne ke alava khet me gaddha khod kar vaha asthiyan rakh vriksharopan kiya. Vriksharopan dwara pita ki smruti jinda rakhne ka aadarsh unhone samaj ke samne rakha hai.
Alibag taluka me rajaram pawar (81) inka 19 october ko nidhan hone ke baad unke chaaro beton ne pita ke antya vidhi ke baad asthiyon par vriksharopan kiya. Iss dauran 4 aam ke, 1 kathal, 1 aamla in jhadon ka vriksharopan kiya gaya.