Murud taluka ke amboli bandh par daen aur baen teer par nahar ka kam teen salon pehle band hone ke karan kisano ka bohot nuksan ho raha hai. Sinchai yani watering ki suvidha uplabdh na hone ke karan kisano ko paramparik chaval ki kheti par hi nirbhar rehna pad raha hai.
Amboli yah kam sinchai vala bandh hokar yah 29 crore rupaiye kharch kar banaya gaya hai. Nahar ka kam pura hone par 60 hector kshetra pani ke niche aane se kisano ko jaruri vyavsay karne milega. Filhal yah bandh se murud ke sath 12 gaon ke liye jalpurti hoti hai, jiske karan murud ko satane vala pani ka sawal ab hamesha ke liye dur hoga.