Murud main Khawati yojna ka kam shuru

 

Agardanda, Nov 11: Berojgar huye anusuchit jamati ke aadivasiyon ke liye zile main Khwati yojna shuru ki gayi thi. Issi yojna ka kam joron se Murud main shuru ho gaya hai. Murud main lgbhag 3000  se aaspaas labharthi hai, jin main se 1000 labharthiyon ke aavedanpatra bhare ja chuke hai.

Corona vishanu ka failav rokhne ke liye Kendra aur rajya sarkarne lockdown ghoshit kiya tha. Iss kal main anusuchit jamati ke log badi matra main berojgar ho gaye the. Unke parivaron par bhookhmari ki naubat aa rahi thi. Tabhi shansan ki taraf se yah yojna shuru ki hai. Iske tehat Anusuchit Jamati ke har parivar ko 2 hajar rupyon ki jeevnavshyak cheenje dee jati hai aur 2 hajar rupye bank main jama kar diye jate hai.

Iss yojna par zile main 9 shikshak aur 2 shipai kam kar rahe hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks