Murud: Kendra sarkarne banaye teen naye kaydon ko kisan aur kamgar virodhi batakar yahan ke Shetkari Kamgar Paksh ne rajdhani Dilli main chal rahe kisan andolan ko samrthan kiya hai. Party ke sachiv Manoj Bhagat ji ke netruttva main vaisa nivedan Tahsildar Gaman Gavit ji ko sounpa gaya.
Iss vakt Zila Parishad Sadsya Namrta Kasar, Nagarsevak Aashish Diwekar, Purv Sarpanch Ajit Kasar, Ramesh Diwekar, Rahil Kadu, Zila machhimar sangh ke upadhyaksha Manohar Baile, Mubshir Lalse, Maheshkumar Patil, Santosh Jamnu, Sajjad Ulade, Jayant Kasar, Vikas Ghag, Nana Patil aadi log upsthit the.
Kisan ke heet ko dhyan main rakhar Kendra sarkarne ye kayde turant radd karne chahiye aisa bhi unhone iss vakt kaha.