Aadivasi vibhag ki firse jan ganana ki jaye

Aadivasi

Raigad jila ke aadivasi vibhag ka bhi vikas ho, isliye aadivasi vikas vibhag aadivasi upay yojana karke atirikt nidhi diya jaye. Isliye karjat ke aamdar Mahendra shorve inhone rajya ke mukhya mantri aur rajyapal ko nivedan kiya hai. Raigad jila me sabse jyada katkari aadim jaat yah karjat, khalapur, sudhagad, pen, panvel in taluka me hai. Karjat taluka me takriban 120 katkari vadi to khalapur taluka me 80 katkari vadi hai. In vibhago me se sirf 25 katkari vadi ka aadivasi yojana me samavesh hua hai. Baki bache aadivasi vibhago ka in yojanaon me hissa na hone ke karan ve vikas se koso dur hai.

Yah aadim jaati ke logon ke parivaron ke liye, unke vibhag ka vikas ho isliye aadivasi vikas vibhag ki or se firse survey ho aisi maang rakhi hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks