Aakshi gaon me janleva virus ki afva, nagrikon me faili pareshani

SAVE_20210924_115217-1ad0d033

Alibag taluka ke aakshi gaon me gastro ke karan do logon ki mrityu ho gayi hai, aur 18 log hospital me ilaaj karva rahe hai. Lekin, iske baad aakshi gaon me ek alag hi afva fail gayi hai. Marijon me videsiyon ka samavesh hone ke karan inn logo dwara hi koi nayi bimari aane ke karan gaon me logon ki mrityu ho rahi hai, yaha afva failnese nagrikon me pareshani ka mahaul ho gaya hai.

Nagrikon dwara koi bhi afvaon par vishwas na rakhe, gaon me kisibhi tarah ki badi bimari nahi aayi hai, jiske karan na dare, aisa avahan sehat vibhag dwara kiya gaya hai. Sambandhit vishaypar gaon me gramsabha li gayi thi. Gastro ka failav yaha dushit pani pine ke karan hota hai. Isliye gramsthone pani ubalkar aur chhankar piye aisa sujhav sehat vibhag dwara diya gaya hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks