Adarsh nagri patsanstha maryadit alibag dwara apne arthik vyavhar aur jaldise ho tatha grahakon ko adarsh patsanstha ke madhyam se sidhe QR Code dwara bill de sake isliye QR Code suvidha shuru ki gayi hai. Iss QR code suvidha ka shubharambh alibag ke nagar adhyaksh Prashant Naik inke hatho kiya gaya. Iss samay patsanstha ke adhyaksh Suresh Patil, upadhyaksh Satish Pradhan, sachiv Kailas Jage adi upasthit the.
Arthik vyavhar bill payment karne ke liye ab grahak vividh app ke madhyamse cashless vyavhar karneke liye jor dete hai. Phonepe, Google Pay, PayTM Jaise app ke madhyamse aise vyavhar kiye jate hai. Lekin, patsanstha ke madhyam dwara aise vyavhar na honepar abhitak patsanstha ke saving khate ka upyog bhi kuch vyavharontak marydit tha. Isliye adhyaksh Suresh Patil inhone apni sankalpana dwara bada faisla lete hue pehlibar Adarsh Nagri Patsanstha ke madhyamse QR code suvidha shuru kar adarsh patsanstha ke khatedaron ke liye sidha Scan Code karke vyavhar karne ka avsar uplabdh karke diya hai. Patsanstha ke Prashant Naik inhone suvidha ka udghatan kiya.