Agardanda bandar ke jetty par machhuaron ko hamesha ke liye machhali bechna aur naav rokne ke liye anumati di jaye, isliye konkan bhumi pratishthan ke adhyaksh Sanjay yadavrao aur murud taluka nakhwa samiti ke samanvayak Prakash patil inhone patrakar parishad lekar 2 October ko samudri andolan karne ka ishara diya tha. Lekin, is andolan me machhuare sahakari sanstha dwara virod milne par, samudri andolan ladkhadane ka dikhai de raha hai.
Is sandarbh me ekdara ke hanuman machhuar society me patrakaron ko bulaya gaya tha. Is samay, sagarkanya machhuar society ke chairman aur upadhyaksh, hanuman machhaur society ke chairman, rajpuri ke mahalakshmi machhuar society ke chairman yah upasthit the. Tino machhuar sansthaon ne 2 October ko samudri andolan me hissa na leneka faisla jahir karke, sambandhit jankari khat dwara murud police thane me di.