Alibag ke jila sarkari hospital ke durvyavastha ha gayi hai. Hospital me milne vali vaidyakiya seva aur hospital ki ward aswachhata behat khatarnak hai. Jila hospital ke mukhya imarat aur baki vaidyakiya ward yaha hone ke karan yaha ka parisar har roj saaf rakhna anivarya hokar bhi hospital ke safai kamgaron dwara najar andaaj kiya ja raha hai. Kuch safai kamgar mukhya imarat ka jama kiya hua kachra krida bhuvan hospital ke najdiki imarat ke compound me jalane ki ghatna samne ayi hai. Ve kachra jalane se rakh ka dher jama ho gaya hai aur hospital ke jagah jagahon par mitti ke dher dikhai de rahe hai.
Alibag ke jila sarkari hospital me faili gandagi
