Subah 11 baje raigad police niyantran kaksh ko alibag ST aagar me 3 atankvadi ghusne ki jankari milti hai. Jald hi police niyantran kaksh ki or se quick action team ko bulakar yah sthiti sambhalne ki suchana di jati hai. Ussi ke sath quick action team apne javanon ke sath ST aagar me pahunchkar karvayi shuru karti hai.
Kuch hi samay me aagar me kuch karne ke hetu se baithe 3 atankvadiyon ko dahashat virodhi pathak jerband kar sthiti par niyantran late hai. Yah sabkuch apni ankhotale dekh rahe alibagkaron ko yah sthiti asal me mockdril hai pata chalne par unhe rahat ki sans aati hai. Aur police yantrana bhi taiyar hai to suraksha bhi hai yah jankari milti hai.
Atankvadiyon se dahashtvadi hamla hone par bharat me mehtvapurn jagah dhyan me lete hue, atankvadiyon ke hamle ka pratibandh ilaaj yojana antargat bhid vali jagahon par quick action team ki taraf se mockdrill lene ka aadesh police adhikshak Ashok Dudhe inhone diya tha.