APMC ne provide kiya 6lakh tan anaaj

Grocery

21 march ko lockdown ghoshit kiye jane par Mumbai, Thane, Navi Mumbai, Panvel in shehron me sabhi vyapar aur kamkaj band ho gaye the. Lekin, in kshtron ke dedh crore nagarikon ko jivan avshyak vastue provide ki gayi.

Bajarsamiti prashasan ne sthiti ki gambhirta ko dhyan me lete hue market me jaruri chijon ka upyojan kiya hai. 21 march se 31 july tak 5 markets me 73,540 gadiyon ka aana-jana hua hai. Is kalavadhi me 6 lakh 69 hajaar 226 tan maal lakar ve Mumbai, navi Mumbai ke grahakon tak pahunchaya gaya hai. 93,445 tan pyaaj, batata, 1,400 tan sabji, 14,000 tan masale, aur 2,34,000 anaaj provide kiya gaya hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks