Mousam badalne ke karan jila me jukham – khansi aur gale ki pareshani ho rahi hai. Mukhyataha chhote bacche in bimariyon se trast hai. Jukham aur khansi ko gambhirta se liya nahi jata, lekin najar andaaj karna ghatak ho sakta hai. Lagatar kuch dinose in bimariyon ki sankhya badh gayi hai.
Pichhle hafte se savere badhne vala tapman aur kuch samay baad hone vali barish ke karan vatavaran me achanak badlav aane se nagrikon ko sehat ki behat se bimariyon ka samna karna pad raha hai. Jukham, khansi, sardard in prakar ki bimariyon ke 10 se 15 marij har roj hospital me dikhai de rahe hai.