Revdanda : alibag taluka me lagatar tisre din shanivar ko bhi barish jaisa havaman hone ke karan kisan chinta me hai. Badle havaman ke karan matsya vyavsay ruk gaya hai. Bohot se kisano ke chaval ki katayi karne ke bad akali barish ke karan chaval bhig janese chaval katayi ke kamo me teji aagayi hai.
Subah ke samay barish ka vatavaran hota hai aur halki si barish shuru rehti hai. Raigad jile me aur char din halki si barish hone ki sambhavna havaman khata dwara batayi ja rahi hai. Arbi samundar me kam dabav ke kshetra ke karan rajya ke vividh bhagon me barish hone ki shakyata jatayi gayi hai.