Ekdara gaon me hafte me ek bar ho rahi hai jalpurti

37845456986_f557bf2743_w-f17de732

Murud shahar ke najdiki ekdara grampanchayat ki simaon ke logon ko filhal hafte me ek bar pani ki purti ho rahi hai. Jiske karan rahivasiyon ko badi samassya ka samna karna pad raha hai.
Takriban 3500 janata ki yah grampanchayat, is grampanchayat ke amboli bandh se jalpurti ki jati hai. Lekin, picchle kuch dino se is grampanchayat ke kshetra me rahne vale logon ko hafte me sirf ek bar jalprapti ho rahi hai. Sirf ek bar pani ki purti ke karan yahan ke logon ko dur se pani lana padta hai. Swatantra pani ki pipeline hone par bhi ekdara gaon ke logon ko pani ki kami ho rahi hai. Dauran, ekdara grampanchayat ki or se vyaktigat 100 aur sarvjanik nal ke liye 50 rupaiye liye jate hai.
Pipeline tutne ke karan is grampanchayat ko pani ki samassya se jujhna pad raha hai. Nayi pipeline dalne ke alava yah samassya dur nahi hogi, isliye raigad jila parishad dwara madad milna avashyak hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks