Jila hospital me chhat tapakne ki pareshani; crore ka kharcha gaya pani me

safe_image (1)-03b678a6

Crore rupaiye kharch karke bhi alibag jila hospital ke duruvastha ki parehsaniya khatam nahi ho rahi. Ab hospital ke pehle manjil par ke shstrakriya vibhag ki chhat jagah jagahon se leakage hai. Upar vale manjil par gande pani ka leakage ke karan chhat ko fungus aur sheval lag gaya hai.

Alibag jila samanya hospital ki imarat puarani hone ke karan firse naya bandhkam karne ki avashyakta hai. Lekin, purane imarat ki marammat kar crore rupaiyon ka kharcha ho raha hai. 3-4 saal pehle pehli manjil vale shastrakriya kaksh ka naya bandhkam kiya gaya tha. Yah kam thikse na karne ke karan 3 salon me hi imarat pehle jaisi ho gayi hai. Imarat ke kayi baghon me chhat girna, pani tapakna aur dranage ki samassyase sabhi pareshan hai.

Jila hospital ke antargat marammat ke liye jila niyojan dwara 13 crore rupaiye manjur kiye gaye hai; Lekin iss kam ko prashasan najar andaaj kar rahi hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks