Sarkari karyalayon me bohot se kamkaj computer par kiye jate hai, lekin raigad jile me connectivity ka abhav hone ke karan sarkari kamkaj me jyada teji nahi hai. Kendra sarkar dwara WiFi chaupal yah yojana shuru karke, iss yojana se raigad jile ke gram panchayat, sarkari hospital, pathshala, talathi karyalay aise kul milakar 4 hajaar 20 karyalayon ko mofat internet suvidha di jane vali hai. Isliye sarkari kamkajo ko teji milegi, aisi apeksha hai.
WiFi chaupal yojana ke maharashtra pramukh Lokesh Shrivastav aur WiFi chaupal raigad jila vyavasthapak Anil shende inke upasthiti me alibag taluka ke tehsil karyalay me muft fibre net lagakar iss muhim ki shuruvat ki gayi hai.