Karanja – Uran ke nausela ke adde me yah pariyojana sthapit ki gayi hai. Yah sirf pure vibhag ki sabse badi saur urja pariyojana hi nahi to 100 pratishat swadeshi hai. Iske liye lagne wale panel swadesh me hi viksit kiye gaye hai. Usi tarah trekking table aur inverter bhi swadeshi hai. Suraj ke badalte disha ke anusar saur panelon ko jodne, computer ke sahayyase nirikshan karneke liye grid ekdusre ko jode gaye hai.
Is saur pariyojana ke karan karanja – uran nausena ke adde ki bijali ki avashkta puri hone vali hai. Yah bhartiya nausena dwara akshay urja strotonka purn upayog karne ki disha me uthaya gaya ek mahatvapurn kadam hai.