Murud ke aitihasik sthalo me se murud – agardanda raste par 6km duripar khokari ka gumbaj ( gol ghumat ) hai. Iske marammat ka kam puratatva vibhag ne apne hathon me lekar gumat ki swatchhata ki ja rahi hai. Isliye bohot se kamgar tainat kiye gaye hai. Iss imarat ka koi bhi bhag na gire, isliye bohot dhyan rakha ja raha hai. Ghumat par barish ka mara lagne se ve bhag kala pad gaya hai. Iske liye vishesh tarah ke rasayan ka istemal kiya jane vala hai. Sthaniko dwara gol ghumat kala hone ke karan iska dhyan rakhkar marammat ki aur swatchhata ki jaye aisi maang ki gayi thi.
Khokari ke prachin ghumat ki puratatva khata dwara marammat
