Kisano ka BPCL ke kamo ko virodh

31565006354_dbb61f21c6_n-cce25fef

Mohopada : rasayni kshetra ke turde, purani posari, devloli, savale, waveghar, dapivali, khabe ambivali, aali ambivali, mohopada, chambharli in gaon ke takriban 1600 acre se jyada jamin kendra sarkar ke HOC ne 700 se 800 rupaiye acre me kharedi ki thi.

Iske bad kuch jamin HOC ne MIDC ko de di. 2000 ke bad HOC ki buri avastha hone ke bad usme se kuch jamin istro ne le li, aur baki BPCL ko dene vale the.

Is prakalp ka virodh karne ke liye rasayani patalganga prakalpgrast kisan pichhle kitne salon se nyayalay me ladh rahe hai. Iske pehle bhi prakalpgrast kisano ke jamin par ginti ke liye aaye hue adhikariyon ko inhone bhaga diya tha. Lekin, bpcl company ka kam police bandobast me firse shuru hone ki jankari milte hi, prakalpgrast kisan dapivali thambe ke pas jama hue. HOC company ke gate par jakar BPCL adhikariyon ko milke sabhi kam band karne ki prakalpgraston ne binti ki.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks