Maratha kranti morcha ka andolan

14191897_1578468965793082_1093930400652366745_n-a330cf8c

Karlekhind : maratha kranti morcha ki taraf se kuch maango ke liye thiyya andolan kiye gaye. Maratha arakshan ko sthagiti dene ke karan pure maharashtra se maratha samaj ki or se nishedh kiya ja raha hai. Raigad jila maratha samaj ki taraf se apne pramukh teen maango ke liye raigad jila adhikariyon ko nivedan diya gaya.

Iss nivedan me 11 October ko hone vali MPSC ki pariksha radd ki jaye, prasthavit police bharti radd ki jaye, in maango ke liye maratha samaj ekjut hue the. Corona infection ke karan andolan ke liye raigad jila ke maratha samaj ke kuch hi log upasthit the. Subah alibag ke kelkar naka se thiyya andolan ki shuruvat hui. Samajik antar rakhkar aur mask ka istemal kar morcha nikalkar andolan kiya gaya.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks