Mehangai ke karan phal market ko grahakon ne dikhai pith

Fruits

Ganpati tyohar kaal me seb jaise kuch phalon ka market me aana kam honese, market me phalon ka bhav behat badh gaya hai. Chhote chhote market me 140 se 200 rupaiye kilo par seb ki bikri ho rahi hai. Baki phalon ke bhav bhi badhne ke karan tyohar ke mauke par bhi nagrikon ne phal market ko pith dikhai hai.

Mumbai krushi utpanna bajaar samiti me har saal ganpati ke mauke par pratidin takriban dedh se do hajaar tan phalon ka market me aana hota hai. Lekin, is saal sirf 1000 tan phalon ki aavak hui hai. Market me filhal ke sthiti me chiku 100 rupaiye kilo, anaar 80, papaiya 40, peru 100, santra 200, mosambi 120, aur sitaphal 80 rupaiye kilo bhav se bikri ho rahi hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks