Pichhle kuch dinose barish ka mahaul tha. Shukravar subah se murud taluka me barish ki shuruvat hui thi. Takriban 4 ghante barish hone ke karan sabhi jagah kohra jaisa chhaya tha. Barish kam hui ho firbhi usse machhuaron ka bada nuksan hua hai. Barish ke karan kuch naukaen kinare par hi khadi thi. Lekin, bohot si naukaen gehre samundar me machhali pakadne ke liye gayi thi. Gehre samundar me hava aur barish ka praman badhte hi sabhi naukaon ne kinare jana shuru kiya. Agardanda bandar, rajpuri bandar aur khora bandar me badi sankhya me naukaen khadi kar di gayi hai.
Murud me akali barish ke karan naukaen kinare par
