Alibag taluka ke nagaon aur baki samundar kinaropar raat ke samay me bioluminescence se honevale prakash ke karan samundar me nile rang ki lehre dikhayi de rahi hai, jisse dekhne ke liye nagrikon ke sath hi paryatakon ki bhid jama ho rahi hai. Raigad jila me samundar ke naye rup dikhayi dete hai, mandwa se kashid, fir aage murud, diveagar se shrivardhan aur harihareshwar aisa lamba samundar kinare faila hua hai. Jagbhar se lakho paryatak yaha aate hai. Iss saal corona ke karan sankhya bohot kam ho gayi hai.
Swatchh aur sundar aise nagaon samundar kinare par pehli bar hi nile rang ki lehre dikhayi di hai. Yah Nile rang ki lehre yani bioluminescence matlab sajiv prajatiyon dwara roshni ka utpadan yah kemi luminescence ek prakar hai.