Aanevale samay me matsya utpadan 5 pattse badhane ka abhiyan nishchit hua hai. Isliye kendra ke pradhanmantri matsya sampada yojanase vividh yojanaen ki janevali hai. Iskeliye rashtriya sahakari Vikas Nigam ki or se machhuaron ke sangh ko arthik sahayog kiya jaraha hai, isse raigad jile ke machhuare atmanirbhar hoge, aisa vishwas NCD ke pradeshik sanchalak Vinit Narayan inhone vyakt kiya hai.
Alibag ke jila madhyavarti sahakari bank ke sabhagrih me budhvar 8 September ko pradhanmantri matsya sampada yojanapar ek din ki jila stharpar prashikshan karyakram ayojit kiya gaya tha.