Samundar ka pani jane ke karan phasal ka hua nuksan

Crop

Shrivardhan taluka ke chakravat ke karan kisano ke gharon ka behat nuksan hua tha, shiste – diveagar margpar yashvanti kharbhumi ke najdik hi khadi ke darvaje tutne ke karan samundar ka pani khet me aakar phasal ka behat nuksan hua hai.

Diveagar ke khadi najdik vale bolipanchatan kshetra ke char se panch gaon ke kisanon ki 400 hector kshetra ki jamin hai, uspar har saal ve chaval ki kheti karte hai. Samundar ka pani khet me na jaye isliye badi divare khadi ki thi. Lekin, char mahino pehle uran me aaye badh ki vajah se yah darvaje tut gaye. Jiske karan kisano ki sainkdo hector jamin pani me chali gayi hai. Ek waqt ki kheti karte apna parivar sambhalne vale kisano ka behat nuksan hone par, bharpayi ki maang khar ke kisano ne ki hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks