Sarkari karmchariyon ke vividh maango ke liye tahsildar ko nivedan

28279350_130567654433134_4079547250598870906_n-ea3f03c7

Agardanda : rajya sarkari, nimsarkari, jila parishad karmchari, shikshak aur shikshak karmchari, samnvay samiti ki or se apne vivdh maango ke sambandh  me murud tahsildar Gaman gavit inhe nivedan diya gaya hai.

Is nivedan me karmchari samnvay samiti ne sarkar ka dhyan khichte hue covid-19 ke mahamari me jaan ki parwah na karke kam karne vale sarkari aur kantrati karmchariyon ki arthik avhelna karne vale rajya shasan ka nishedh kiya hai. Is virodh me 22 may, 4 June, 3 July, 10 August 2020 ko rashtriya, rajya aur jila shtar par nidarshan, andolan karke karmchari aur kantrati karmchari inhone andolan dwara aakrosh dikhakar ‘nishedh din’ manaya tha.

Sarkar dwara PFRDA ke antargat anshdayi pension yojana radd karke, purani pension yojana shuru ki jaye. Neejikaran, kantratikaran dhoran radd kiya jaye. Kantrati maandhan ke karmchariyon ko seva me niyamit kiya jaye is tarah ki kuch maango par sarkar gambhirta se soche anyatha andolan hoga aisa kaha gaya hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks