Alibag shaskiya vaidekiya mahavidyalaya ko kendra shasan ke bhartiya ayurvidnyan parishad ki manjuri mil gayi hai. Vaidekiya shiksha lenevale sou chhatron ki pravesh prakriya iss saal shuru hone ki jankari rajyamantri tatha palakmantri Aditi Tatkare inhone RCF school, lecture hall, kurul, alibag yaha ayogit kiye gaye patrakar parishad me di.
Jald hi pravesh prakriya shuru hogi, isliye raigad ke sath hi kokan ke chhatra bhi mahavidyalaya me pravesh le, aisa aavahan palakmantri Aditi Tatkare inhone kiya hai.
Jile me vaidekiya shiksha ka avsar uplabdh karke dene ke liye alibag yaha 100 chhatra pravesha kshamata se vaidekiya mahavidyalaya aur 500 marijon ke liye bedki kshamata se hospital shuru karne ke liye avashyak bandhkam, yantrasamagri aur pad nirmiti ko shasan dwara manyata di gayi hai.