Shri kshetraphal mandir ki or janevali sadak hui kharab

2635744583_a92709584f_w-300c1e78
Murud ke datta bhagwan mandir ke agle marg par aitihasik puratan kaal ka shri kshetraphal yah Shankar bhagwan ka mandir hai. Pichhle kitne salon se yaha mahashivratri utsav bade utsah se manaya jata hai. Bhaktjan yana bhagwan ke ashirwad ke liye aate hai, lekin mandir ki sadak kachhi hone ke karan yahan gadiyon ka aana jana band hai. Logon ko paidal yatra karni pad rahi hai. Isliye raigad ke khasdar Sunil tatkare inhone yah mandir ki sadak taiyar karne ke liye apna khasdar nidhi de, aisi maang ek nivedan dwara ki gayi hai.
Datta mandir se takriban 4km duri par shri kshetraphal bhagwan shankar ka mandir hai. Takriban 150 saal pahle ka yah prachin mandir hokar, yah vikas kalyan se behat dur hai. Mandir ke sadak par street lights bhi nahi hone ke karan, street lights lagane par bhakton ko bada dilasa milega.
Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks