Tyohar ke mauke par phul aur sabji ke bhav badh gaye hai. Pichhle kuch mahine corona ke karan pure desh me lockdown ki sthiti thi. Lockdown hatane ke bad sabhi kamkaj dhire dhire shuru hua hai. Lekin, aaj bhi khuch vyapar band hone ke karan behat se log ghar par hi hai. Kirana maal, sabji, phal ka market me aana kam hone se aur barbar ho rahi barish ke karan mahangai badh rahi hai. Corona ke karan aur paise ki kami ke karan logon me ganpati tyohar sidhe sadhe tarikese manane ka socha hai. Firbhi gharpe lagne vala saman, sabji aur pooja me lagne vale phul aur phalon ke bhadte bhav se aam admi vyathit hai.
Bhagvan ke pooja me lagne vala kewda 20 se 25 rupaiye nag, fal 60 se 70 aur kothmir 50 rupaiye ho gayi hai. Barbar ho rahi barish ke vajah se phal, phul aur sabji ke bhav badhte dikhai de rahe hai.