Uran ke basti kshetra me badha ajgar ka khatra

Ajgar

Uran kshetra ke bastiyon me iske pehle kabhi kabhi dikhai dene vale bade saanp ab badi matra par dikhai dene lage hai. Isme sabse jyada dikhai dene vala Indian rock python jati ka ajgar hai. Pichhle 2 mahinon se khane ki talash me 45 se 50 saanp uran ke bastiyon me ghus aaye the, kuch logon ne un ajgaron ko pakadkar surakshit naisargik vatavaran me chhod diye.

Uran kshetra me badhte audyogikaran aur vikas ke nam par parvat, tekdi aur dariya bulldozer ghumake nasht kiye ja raha hai. Concrete aur cement ke karan ped nasth hone se vanjivan mushkil me aagaya hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks