Murud taluka ke vihur bandh se majgaon, usroli, nandgaon, vihur aise 4 gram panchayat ko pine ke pani ki purti ki jati hai. Vihur iklauta aur bohot mehatvapurn bandh hai; lekin pichhle kuch dinose iss bandh se durgandhyukt aur pile rang ke pani ki purti ho rahi hai. Jiske karan sabhi gramast pareshan ho gaye hai.
Iss samassya ka nivaran karne ke liye gram panchayat se sarpanch, up sarpanch, aur gram panchayat sadassyon ne mangalvar ko jila parishad adhyaksh Yogita pardhi inse mulakat karke binti ki. Raigad jila parishad ke adhyaksh Yogita pardhi inhone vihur bandh ki janch partal kar, vihur bandh se durgandhyukt pani ata hai ya nahi iski janch kare, yah samasyaen hamesha ke liye khatm ho isliye naya shaili khat banakar chije puri ki jaye, firse aisi samassya na ho iski dakhal adhikariyon dwara li jaye aisa avahan kiya gaya hai.