10 dinon ke andar dhan kharidi Kendra shuru karne ki mang

daily chhattisgarh news-3e33405a

 

Murud, Nov 18: Taluka main dhan kharidi kendra shuru karne ki mang kuchh mahine pahle Murud tahsildar karyalay main ki gayi thi. Lekin Kendra shuru hoga ya nahi, iska jawab bhi na milne ke karan Kisan Kranti Sanghatana phir ek bar Budhwar ko tahsildar karyalay ko bhent dee. Agle dus dinon main dhan kharedi Kendra shuru nahi hua to bada janndolan chhedne ka ishara Kisan Kranti Sanghtana ke Maharshtra Rajya ke upadhyaksh Shrridhar Janjirkar ji ne diya hai.

Iss vakt bhi nayab tahsildar Ravindra Sanap ji ko aavedanpatr sounpa gaya.

Murud ke pass dusare taluka ko dhan kharidadari Kendra shuru hota hai lekin Murud main dhan ka utpadan itana jyada honepar bhi yahan Kendra kyon nahi hai? Dusare taluka main dhan lekar jane ke liye yatayat par bhi atirikt kharcha ho jata hai, ant main ismain kisan hi ghate main rahta hai, aisa yahan ke santapt kisanon ne kaha hai.  

 

 

photo credit: Daily Chhattisgarh news 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks