11 saal baad mila Mhasala panipurvatha yojana ko mahurat.

im-01

Mhasala peyjal yojana saal 2008-09 me manjur ki gayi aur iska do baar bhumipujan kiya gaya, Lekin kharab kaam ke karan 2-3 baar is kam ke thekedar ko badla gaya. Ab 11 saal baad is yojna ke kam ko phirse mahurat mila hain. Rashtriya Peyajal Yojana ke antargat 1 karod 40 lakh ki yeh yojana hain. Isme 6 inch vyas ki, 5200m lambi pipeline Pabhare dam se Mhasala tak aayegi, Pump aur pump house, Beldarwadi ke liye pani ki tanki, shehar ken andar ki pipeline aur anya durusti ke kaamo ka samavesh hain. Is yojana se Kanyashala bhag, Vidyanagari, Bramhanaali, Sane aali, Saliwad, Tambat aali, Sonar aali, Navenagar, Tahasil-Police karyalay, Dighi naka, Gramin hospital, panchayat samiti office, Kumbharwada, Beldarwadi aur Edgah jaise bhago me pani paryapt matra me diya ja sakega.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks