Aadivasiyon ko mile gunvattaheen chawal

granthshala news-f842d409

 

Alibag,Oct 14: Palghar aur Thane ke baa dab Raigad zile main aadivasiyon ko baante gaye chawal bilkul gunvattaheen hone ka daava, Shramjivi sanghtana ke Raigad zila pramukh Sanjay Gurav ji ne kiya hai. Yah chawal Maharashtra Rajya Aadivasi Vikas Mahamandal ki taraf se baante gaye hai. Pen, Panvel aur Alibag main baante gaye in chawal main kide pade hai, yah chawal jaanwar ke khane ke darje ke bhi nahi hai, aisa bhi unhone kaha.

Lockdown main hath main rojgar nahi hone ke karan yahan ke har ek aadivasi parivar ko 20kg chawal baatane ka nirnay rajya shasan ne liya tha. Uske mutabik Aadivasi Vikas Mahamandal ne ye chawal baante hai. April main milnewale ye chawal pahle hi 6 mahine der se aaye hai. Uske alawa Raigad main 42 hajar se bhi jyada aadivasi parivar hai lekin chawal ka niyojan keval 33 hajar parivaron ka hi kiya gaya hai. Sudhagad ke lagbhag 1 hajar se bhi jyada parivaron ki  ginati hi nahi huyi hai, aisa bhi Shramjivi Sanghatana ki taraf se kaha gaya hai.

photo credit: Granthashala News, used only for representation

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks