Aagardanda Bandar ke samne andolan

 

Agardanda: Dighi port vikas ko shuruvat ho gayi hai aur nokar bharati bhi shuru ho gayi hai. Lekin yah bharati ki sthanikon ko bilkul khabar nahi dee gayi thi. Iss baat se sthanik nagrik kafi naraj hai. Issi karan shukravar ko Dighi port se jude huye Aagardanda Bandar ke mukhya gate ke paas yahan ke nagrikon ne andolan kiya. Iss vakt Murud taluka Shivsena adhyaksha Hrushikant Dongarikar upsthit the. Andolan karte sthanikon ne Company prashasan ko apan likhit nidevan de diya hai.

Sthanik nagrikon ko naukari bharati main sahi mauka nahi diya ja raha hai, iss baat se sthanik nagrik kai dinon se naraj the. Narajagi main hi we raaste par utar kar andolan karte dikhe. Iss vakt Murud police station ke Police Niriksha Parashuram Kamble maujud the. Unhone andolankose shant rahane ka aavahan bhi kiya.

Dighi Bandar vikas ke liye Aagardanda ke sthanik nagrikone D.B.M. companu ke antargat patthar, mitthi, reti, greets, machinery bhade pe di thi, paani bhi diya tha, aise anek kamon ka 12 karod bill bhi company se ab tak nahi chukaya hai. Wo paise bhi andolankarta vapas mang rahe hai.

photo: jagran-41d7c457

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks