Aapadgrast vidyarthiyon ke funds badhane ki mang

 

Poladpur: Kokan main se school janewale bachhon ko saamp aur bichhu ka katana aam baat hai. Bahut se vidyathi ghar se school tak paidal chale jate hai. Iss main kabhi kabhi koi jangali janwar ke hamle ka bhi dar laga rahta hai.

 Aise main Maharashtra sarkar ne iss samsyako dhyan main rakhakar Rajeev Gandhi Vidyarthi Apghat Sanugraph anudan naam ki yojana shuru kee hai. Lekin iss ka labh mahavidyalyo main padhnewale vidyarthiyon ko nahi milta aur iss yojana ke tahat sirf 75 hajar hi milte hia. Agar wah vidyarthi uske ghar ka aadhar ho to uske mata-pita ke heet ho dhyan main rakhkar sarkarne iss yojna ke tahat milnewali rakam badhakar 10 lakh karne ki mang Maharashtra Pradesh Vidyarthi Congress Pradeshadhyaksha Ameer Shaikh aur Shivraaj Parte ne kiya hai.

Isi silsile main unhone mukhymantri ko bhi aavedanpatra diya hai.

photo credit. The Statesman, used only for representation

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks