Abhi bhi Kisan nuksan bharpai ki pratiksha min

 

Agardanda: Murud taluk main wapasi ki barish se 3351 kisanon ka bahut bada nuksan ho gaya tha. Unmain se 1800 kisanon ko shasan ki taraf se nuksan bharpai mil gayi main lekin mahinon beet jane ke baad main 1551 kisan abhi hi madad ki pratiksha kar rahe hai.

Revenue vibhag, krishi vibhag aur panchayat samiti ne nuksan ki janch-padtal kit hi. Usi ke hisab se kisanon ko bharpai di gayi hai. Dhan ki kheti ke lliye 10 hajar prati hector aur falon ke nuksan ke liye 25 hajar prati hector nuksan bharpai di gayi hai. Yah madad 1800 kisanon tak pahunch gayi hai, baki ke kisan abhi bhi pratiksha kar rahe hai.

Keval Murud taluka ka wapasi ki barish ke karan 1 karod, 6 lakh, 35 hajar ka nuksan ho gaya tha. Jis main se sarkar ki taraf se keval 54 lakh, 5 hajar 378 rupye hi mile hai. Yahan ke Tahsildar Gaman Gavit ji ne agle 8 dinon main kisanon ko bharpai mil jayegi aisa kaha hai.

 

Photo Credit: esakal.com

Image used only for representation

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks