Alibag-Revdanda raste ka marammat ki mang

jagran-bd769a02

 

Alibag, Oct 10: Saat mahine ke bad rajya main phir se parytan shuru hua hai lekin kharab raston ki wajah se Raigad ke parytan par kharab asar pad sakta hai, Iss liye kharab raston ki marammat jaldi kee jaye warna andolan karne ka ishara Nagav ke sarpanch Nikhil Mayekar ne diya hai.

Unhone Alibag-Revdanda marg ki durusti ki mang kee hai. Yahi marg Aakshi, Nagao, Chaul aur Murud ko Alibag se jodta hai aur uski halat bahut kharab hai. Iss marg ki halat dekhte huye wahan par accidents ka khatra bhi badh gaya hai aisa bhi unhone kaha. Kuchh kam shuru ho gaye the lekin wo bhi abhi tak adhure hai, unko bhi jaldi se pura kare warna yaha ke nagarik andolan par utar aayenge aisa ishara iss wakt diya gaya. 

photo credit: jagran.com, used only for representation

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks