Anganwadiyon ko sakshm karenge: Sarpanch Nandgaonkar

 

Murud: Vidyarthiyon ki shaikshanik shuruvat aur unka vikas anganwadi main hi hota hai. Chhote bachchon par yahin sanskar hote hai aur unka mansik aur baudhik vikas anganwadi main hi hota hai. Unka saksham karana jaroori hai. Isliye Usroli grampanchayat unko aavshyak sabhi prakar se madad karegi aisa aashvasan sarpanch Maneesh Nandgaonkar ji ne diya.

Group grampanchayat Usroli ki taraf se 14 ve vitta aayog yojna antargat grampanchayat ki had main aanewali sabhi anganwadiyon ko bachhon ke liye chhoti kursiya aur chhoti almira (kapat)  bhent diye hai.

Iss vakt upsarpanch Maheshkumar Patil, gramvikas adhikari Guruprasad Mhatre, sadsya Vrushali Navgharkar, grampanchayat karmchari Mahesh Mothebuva, Anant Bullu, Mahesh Aamrute aur anganwadi sevika upsthit the.

Usroli grampanchayat ke had main 15 anganwadiyan aati hai, jin main 250 bachhe padhte hai.

Photo Credit: LiveChennai. Used only for representation

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks