Alibag: Rajya main 12 aur 13 December ko Deendayal Upadhyay Online Maharojgar Mele ka aayojan kiya janewala hai. Iss main anek private companyo main lagbhag 65 se70 Hajar rikt padonko bhara janewala hai. Ismain Raigad zile ki companyon 2000 rikt padon ki bharati ki janewali hai. Iss mauke ka sabhi yuva labh uthaye aisa avahan Kaushlya Vikas, Rojgar aur Udyojkta Margdarshan Kendra ke Sahayak Ayukt S.G.Pawar ji ne kiya hai. Adhik jankari ke liye www.rojgar.mahaswayam.gov.in is website ko bhent de.
Rajya main lockdown main sabhi prakar ke udyog-vyavsayon par viprit parinam hua hai. Lekin uss se ubharne ke liye sabhi prakar ki madad ki ja rahi hai. Rojgar mele ka aayojan issi ka ek bhag hai, aisa Mantri Navab Malik ji ne kaha.
Iss rojgar mele main 9 ki kaksha se lekar BE ya kisi bhi prakar ka vyavsayik prashikshan lenewale sabhi yuva sahbhagi ho sakte hai. Iske liye 13 December tak apni pasandita kram ke sath registration karana anivary hai.