Bijali ki kada ke sath huyi bin mausam barsat, Kisan mushkil main

Aagardanda: Murud taluka main Shukravar ko subah se bijali ki kadad ke sath bin mausam barsat huyi. Barsat ke karan iss baar ki fasal ko bada khatra hai, yahi sochkar yahan ke kisan pareshan ho gaye hai.

Shukravar ko subah 4 se 9 bajne tak 15 milimeter barish ho chuki thi. Jiske karan Aam ke sath baki ki fasal ka bhi nuksan ho chuka hai. Philhal kisanon ki halat bahut kharab ho chuki hai.

Iss saal ka dushtchakra thamne ka naam hi nahi le raha hai. Corona ka fialav, lockdown, band market phir Nisarg chakravat, tufani barish in karnon ki wajah se yahan ke kisan pahle hi sahme huye the. Ab thand ke mausam main unlock ki prakriya ke sath bachakucha dheeraj bandhkar kheton main kam shuru kiya hi tha ki ab bin mausam barish ka prahar hua hai. Pahle se kaati huyi fasal kheton main bhig chuki hai. Ful-falon ki fasal lenewalon ko bhi bada nuksan hone ki sambhavana hai.

photo credit: jagran.com. image representative only

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks