Raigad, Nov 23: Rajya sarkar ke nirnayanusar kaksha 9 se lekar 12 vi tak ke school-colleges 8 mahinon baad khul gaye hai. Lekin zile ke 644 schoolo mainse keval 229 school somvar ko khul gaye. In schoolon main padhnewale 1 lakh 35 hajar 797 vidyarthiyon main se keval 6 hajar 66 vidyarthihi somvar ko school pahunche. 4411 Shikshik pahle din kam par aaye the, lekin unmain se 21 corona positive nikle. Jisje ghabrahat ka vatavaran nirman ho gaya hai.
Corona mahamahi ke chalte pichhle 8 mahinon se school-college band the. Rajya sarkar ke nirnay ki wajah se somvarse school shuru ho gaye. Iss parshvabhumi par zile main khabardari ke upay kiye the. Shikshkon ke swab test karvaye gaye the. Schoolon ke classrooms aur benches bhi sanitize karvaye gaye the. Kai schoolo main vidyarthiyon ke temperature aur oxygen level ki bhi janch ki gayi. Itani tayyari ke bawjood vidyarthi aur unke palak abhi school-college aane ki mansikta main nahi hai, yahi sabit hota hai.
photo: Murud ka prasidhha Sir S. A. Highschool