Borli-Mandla, Oct 21: Pichhle kai saalo se Salav-Murud mukhya raaste ke Borli stand-Mandla-Bhoighar phata raasta gaddhon se bhara hua hai. Yahan ke bade bade gaddhon ki wajah se yahan badi durghatana hone ki sambhavana hai. Iss raste par yatayat karnewale apni jaan mutthi main lekar aate-jate rahte hai. Iss baat se Borli-Mandala aur aaspaas ke gaon ke logon ne teevra narajagi vyakt kee hai.
June main huye Nisarg chakravat, August main huyi bhari lagatar barish ki wajah se raaste ki halat aur bigad gayi hai. Barish ke karan gaddho main paani bhara rahta tha to jaan pe khelkar ki raaste se gujrana padta tha.
Sarvjanik Bandhkam vibhag ka iss baat ki taraf bilkul bhi dhyan nahi hai. Aur shikayat karne par sirf aashvasan milta hai. Lokpratinidhi iss baat main dakhal de, aur yah samsya sulzaye aisa apeksha nagrik vyakt kar rahe hai.