Chirner Jangal Satyagrah smritidin sadagi se manaya gaya

chirner-

Uran, Sept 25: Covid-19 mahamari ke chalte Chirner jangal satyagrah ka 90 va smritidivas sadagi se manaya gaya. Iss avsar par shahidon ko salami dee gayi aur smritistambh par ful chadhaye gaye.

Chirner, Kalambusare, Mothi Jui, Koproli, Khopate, Pandive, Bhom aadi gaon ke aadivasi, koli, katkari aur kisan logon ne 1930 main angrejo ke jangal kayde ka bhang karke satyagrah kiya tha. Yah satyagrah rokhne ke liye angrejon ne goliyan chalvayi thi. Jisme kai masoom kisan-aadivasiyon ki jaan gayi thi, we shahid huye hai.

Unhi ka smaran karte huye Uran aur aaspass ke ilakon main yah din manaya jata hai.

Iss avsar parpurv aamdar Manohar Bhoir, Sabhapati Sagar Kadu, upsabhapati Shubhangi Patil, Gatvikas adhikari Neelam Gade, Uran taluka pramukh Santosh Thakur, BJP ziladhyaksh Prashant Thakur aur baki prashasakiya adhikariupsthit the.

 

photo credit: lokmat.com

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks