Maratha kranti morcha ka thiyya aandolan

Tala, Sept 25: Maratha Kranti Morcha ki taraf se 25 September ko tahsildar  karyalay ke samne thiyya aandolan kiya gaya. Supreme court ne Marathi aarakshan ko sthagit kiya hai. Aise main Maharashra sarkar ne police bharati ki prakriya shuru kee hai, iss baat se naraj Maratha log, bharati prakriya ka nishedh karte huye yah aandolan kiya gaye tha.

Iss vakt Tala ke Maratha samaj ke samnavayk Chantrakant Raut, Nagaradhyaksh Reshma Munde, Kshatriya Maratha Samaj taluka aadhyaksh  Balaram Chavan,, secretary Deepak Bhosale, Chetan Chavan, Vinayak Mudhe, Jagdish Shinde, Hrishikesh Gole aadi log aur Maratha samaj ke yuva upsthit the.

Maratha samaj ko jab tak kanuni taur par aarakshan nahi milta tab tak police bharati na kare, yah unki pramukh mang the. Agar aisa hua to 10th October ko rajyabhar main bada aandolan karne ka ishara morcha ki taraf se diya gaya.  

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks