Diwali par bhi niymonka bandhan!

hindustan-d37f111e

Alibag, nov 7: Corona virus ka prabhav kam hota dikh raha hai, lekin phir bhi niymonka palan nahi kiya to uska khatra badh sakta hai. Issi baat ko dhyan main rakhkar, rajya sarkarne Diwali manane ke kai niyam ghoshit kiye hai.

Iss saal ke baki tyoharon ki tarah hi Diwali bhi puri savdhani aur niymon ka palan karke sadagi se manane ka aavahan sarkar ki taraf se kiya gaya hai.

Kisi bhi prakar ke dharmik sthal abhi bhi band hai to Diwali ghar main hi manani hogi. Phatakhon ke dhuye aur aawaj se mujuda rugn aur halahi main jo thik ho gaye hai, unke swasthya par bura asar ho sakta hai. Yah baat dhyan main rakhkar jyada se jyada diye jalakar tyohar manaya jaye. Diwali Phat jaise kisi bhi prakar ke sarvajanik karykramon par iss bandi hai. Bhid na kare. Mask ka upyog aur social distancing jaroori hai.

Iss saal sanskrutik karykramon ki jagah swasthya ke prati jagruti nirman karnewale karykram aayojit karne ka aavahan bhi kiya gaya hai.

 

photo credit: livehindustan.com

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks