Eklavya Residential School ki pravesh prakriya shuru

Alibag, Sept 3: Adivasi bachhon ki shiksha ko badhava dene ke hetu shuru huye Eklavya Residential school main pravesh ki prakirya shuru ho gayi hai. Adivasi Vikas Pradhikaran ki taraf se school main pravesh lene ke liye online pariksha honewali thi. Lekin Covid-19 mahamari ki wajah se sari parikshanye radd ho gayi hai. Issi karan Eklavya Model Residential School ke 2020-21 iss academic saal ke liye kisi prakar ki online parisha nahi lee jayegi. Aur pichhle, 2019-20 ke pahle semester ke ankonke aadharpar hi vidyarthiyon ko admission dee jayegi.

Iss residential school main kasha 6 main nayi admission aur kasha 7 aur 9  ke rikt sthanno ko bhare ke liye admission dee jayegi. Adhik vistrut jankari www.mtpss.org iss website par dee gayi hai. Ichhuk vidyarthi aur palak website ko visit kar adhik jankari le sakte hai. Yah janakari Akatmik Adivasi Vikas Prakalp, Pen ki adhikari Shashikala Ahirarao ne dee hai.

photo credit: the live nagpur

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks