Murud, Oct 2: Rastrapita Mahatma Gandhi ke janmdin ke avsar par yahan ke Ekatmik Balvikas Seva yojna ke antargat ‘Beti Bachav, Beti Padhav’ karykram ka aayojan kiya gaya tha. Panchayat Samiti ki Sabhapati Ashika Thakur aur Taluka aayogya adhikari Dr. Chandrakant Jagtap inhone iss vakt margdarshan kiya.
Mahatma Gandhi ki pratima ko pushphaar arpan karke karykram ki shuruvat kee gayi. Ling bhedbhav par baat karte huye Dr. Jagtap ji ne kaha ki ladkiyon ki shadi umar 21 honi chahiye, har ladaki kamse kam padavidharak honi chahiye.
Iss avsar par aayojit nibandh lekhan pratiyogita main varishth lipik Prerna Bhagat ko pratham kramank mila. Unka Ashika Thakur dwara sanman kiya gaya. Unhone ‘Meri Beti, Mera Swabhiman’ iss Vishay par nibandh likha tha.
Iss vakt Grampanchayat Vistar Adhikari Subhash Vani, Ekatmik Balvikas Vistar Adhikari Sanjay Shedge, Police Shipayi Aarati Powar, Suvarna Chandorkar, Ashvini Patil, Kamini Mhatre, Manisha Thakur, Ujjwala Bhatkar, Vijayata Kheur aado log upsthit the.